Lahore mein engine overhaul ki qeemat
Standard Automobile Engineering ki taraf se aap ke apne engine ke rebuild ki andaazan qeematein, gaari ke hisaab se. In mein machining aur genuine parts shamil hain; mistri ki labour taqreeban PKR 15,000 alag lagti hai. Final qeemat free inspection ke baad, kaam shuru hone se pehle tay hoti hai.
- Nayi lene ki zaroorat nahi
- Andaazan, October 2026
- + taqreeban PKR 15,000 labour
- Itemized quote, aap ki manzoori se
- 6 mahine / 10,000 km guarantee

Engine overhaul ki andaazan qeematein, October 2026
| Engine aur gaariyan | Machining + parts (PKR) | Taqreeban 15,000 labour ke saath (PKR) |
|---|---|---|
| Suzuki F8BMehran, Bolan, Ravi | 50,000 – 60,000 | 65,000 – 75,000 |
| Suzuki K6A / R06AAlto 660 (VXL AGS samet), imported WagonR 660, Every | 50,000 – 60,000 | 65,000 – 75,000 |
| Daihatsu EFCuore, Mira | 50,000 – 55,000 | 65,000 – 70,000 |
| Suzuki K10BCultus (K10B), WagonR VXR / VXL 1000 | 70,000 – 75,000 | 85,000 – 90,000 |
| Toyota 1NZ / 2NZ-FECorolla XLI/GLI, Vitz, Belta | 70,000 – 1,00,000 | 85,000 – 1,15,000 |
| HondaCity, Fit / Jazz, Civic | 70,000 – 1,00,000 | 85,000 – 1,15,000 |
Workshop ke andaaze, October 2026 mein check kiye gaye. Final scope aur qeemat inspection ke baad, kaam shuru hone se pehle tay hoti hai. Electrical faults, sensors aur engine ke ilawa kaam engine rebuild mein shamil nahi. Model year aur engine variant se farq parta hai — apni gaari ka model, saal aur engine bhejein aur itemized quote lein.
Qeemat mein kya shamil hai, aur kya nahi
Aap ke kul kharche mein shamil
- Machining: boring aur honing, crankshaft grinding, head aur deck ka kaam, jitna aap ke engine ko chahiye
- Genuine ya OEM parts, jaise Riken/NPR rings, bearings aur gasket sets, khareed ki receipts ke saath
- Mistri ki labour, taqreeban PKR 15,000
- Checks: run-in, oil-pressure aur leak-down test, aur road test
- Har stage ki photos WhatsApp par, aur 6 mahine / 10,000 km ki likhi hui guarantee
Shamil nahi
- Electrical faults, sensors aur engine ke ilawa kaam
- Suspension aur brakes: gaari dekh kar alag qeemat
- Kholne ke baad nikla extra kaam ya parts, jab tak aap manzoor na karein
Qeemat kis cheez se badalti hai
Cylinders ki ghisaai
Sirf honing reboring se sasti hai; kharab bore ko sleeve chahiye ho sakti hai.
Crankshaft
Ghisa hua crank agle undersize par grind hota hai, matching bearings ke saath; zyada kharab crank badalna par sakta hai.
Cylinder head
Valves, seats, guides aur tehri head face ka kaam zaroorat par barhta hai.
Parts
Kaun se parts badalne hain, aur genuine ya OEM parts milte hain ya nahi, is se qeemat par asar parta hai.
Aap ka engine
Model year aur engine variant mein farq hota hai; apna bhejein aur itemized quote lein.
Engine kholne ke baad koi extra kaam nikle to pehle uski qeemat batayi jati hai, aur aap ki manzoori ke baad hi hota hai.
Quote aur payment kaise hoti hai
Free inspection
Gaari workshop le aayein, ya workshop se taqreeban 5–10 km tak free pickup lein. Engine check hota hai aur photos li jati hain.
Itemized quote
Machining, parts aur labour alag alag likhe hote hain, aur aap har line manzoor karte hain. Koi bhi cheez mana kar sakte hain.
Tay-shuda stages mein payment
Har payment kab deni hai, yeh quote manzoor karte waqt tay hota hai.
Jaise chahein payment
Cash, bank transfer, Raast, JazzCash ya Easypaisa.
Engine overhaul ki qeemat: aap ke sawal
Lahore mein engine overhaul kitne ka hota hai?
Kya mistri ki labour shamil hai?
Qeemat andaazan kyun hai?
Kya inspection free hai?
Payment kaise hoti hai?
Kya Kabli engine rebuild se sasta parta hai?
Overhaul mein kitne din lagte hain?
Standard Automobile Engineering × Gaaribaan
Gaaribaan aap ke rebuild ko shuru se aakhir tak coordinate karta hai aur likhi hui guarantee ka zimmedar hai. Machining Samsani Road, Lahore par Standard Automobile Engineering karti hai — Haji Shafique Ahmed aur M. Hassaan Shafique, khandan ke 40 saal ke workshop tajarbe ke saath.
- Address
- Shop # 22A, Block Revenue Society, Shadiwal Chowk, Samsani Road, Lahore 54000 · National Dry Cleaners ke qareeb
- Timing
- Peer – Hafta · 10am – 8pm · Juma ko 1 – 3pm namaz ka waqfa · Itwar band
- Call (workshop)
- 0333-6229700
- 0310-4538244
Aane se pehle call kar lein, taake sahi banda maujood ho.
Apni gaari ki qeemat lein
Gaari ka model, saal aur masla WhatsApp par bhejein, voice note bhi chalega. Hum andaazan qeemat aur agla qadam batayenge.